Sunday, October 17, 2010

:D Zindagi

Woah jo ek akela pada tha
jo kabhi kabhi hi kaam mein aata tha
par aata jaroor tha
fir wapas apni jageh chala jata tha...

aaj fir usko humne yaad kiya
aaj fir humare haathon ne use pukaara
aaj fir hume uski jaroorat padi
aur usne har dafe ki tareh woah kaam se nahi mukra

aaj fir mera nailcutter mere kaam aaya ...
dheere dheere nakhoon par chalta usne khud ko paaya
kabhi seedha kabhi teda
kabhi ulta kabhi meda

nakhoono ki talwato ko sparsh karte hue
pyaar se uske talwato se guzarte hue
dheere se apne shikange mein nakhoon ko dhaste hue
aur apne baazuoon ko kaste hua

y0Max Nailcutter !

+=====================================++
level badhao
warna bhaad mein jao
Yeah, this poem has got nothing to do with the heading :P

Monday, January 4, 2010

Written when returning from Mumbai to Udaipur in November 2009, when I was traveling after long time in train. Kind of a nursery rhyme, so please do maintain the cadence( Rise and Fall of tune) while reading ... Here it rolls ... :D

chukh-chukh karti rail par gadi
ghar humko pahuchati hai |
kal-kal karti nadi hai behti
jo man mera behlati hai ||

pahaad se chalkar, bilkul na darkar
aage badhti jati hai |
kabhi na thak kar, aage badhkar
kaam humare aati hai ||

kala patthar kha kar bhi wah
dagmag-dagmag bhadhti jati hai |
chukh-chukh karti rail par gadi
ghar humko pahuchati hai ||

:)

Wednesday, September 30, 2009

kat gaya

wo ja rahi thi ik sakhi ke saath..
mei ja raha tha ik dost ke saath..
woh dekhi is taraf our muskurayi..
mei samjha mujhe dekh sharmaye..

mei chala gaya uski taraf munh faad ke..
shirt ke sleeves uuper chadha ke..
daanto ke andar jheeeb (toungue) daba ke..
baal mei haath pher ke.. style maar ke..

woh dekhti rahi isi taraf.. mere armaano bhara dil phat gaya
mei ruk gaya.. socha wo kadam badhaegi.. aur raaste se hat gaya..
usne kadam badhaye aur mere dost ke saath chal dii.. bc kat gaya


Moral Of the story :-
walk alone..

Jab koi course ke madhya mein zindagi ujadi ujadi dikhai deti hai , to kuch yoon nikalta hai man se ...

Kabhi dimaag lagaya,
kabhi paas wale ka churaya,
par ek baat hamesha thi,
sab mein sala bada maja aaya.

par fir ek roz aaya,
ki na mein mug paya,
na kisi ka utha paya,
aur tab mere kadrdaan, prof ko sunaya.

jab tab bhi dil ko thandak na aaya,
to fir bhagwan ko manaya,
par woah bhi bohot kamina,
usne bhi mera kataya.

gusse mein ein raavan hi jalaya,
prof. to ab bhi hai maje mein,
bas dil mera jalaya... bohot bura jalaya ...